ASSALAM-O-ALEIKUM BHAI MAIN NE JITNA BHI PARHA HAI US

Transcript

ASSALAM-O-ALEIKUM BHAI MAIN NE JITNA BHI PARHA HAI US
ASSALAM-O-ALEIKUM
BHAI MAIN NE JITNA BHI PARHA HAI US SE AIK BAAT BILKUL
WAAZIH HAI K “ISHQ-E-MAJAAZI , ISHQ-E –HAQIQI TK POHNCHNE
KA PUL(BRIDGE) HAI.
” Ishq-E-majaazi ,Ishq-e-HAQIQI mein convert us waqt hota
hai jb ISHQ-E-MAJZZI laahasil ho jaata hai.
“Ji Ji k marna, mar mar k jeena sikhaati hai,
Laahasil muhabbat ,ISHQ ki raah dikhati hai,
Insaan ko maa’nind-e-zinda laash banaati hai,
Uth uth k girna ,gir gir k uthna sikhaati hai….
Laahasil honey ka matlab ye hai k aashiq se hmesha hmesha
k liey juda ho jaata hai,usey itni takleefein aur dukh
pohnctey hain k wo zindagi ki bazi haaar jaata hai.ishq main do
insaanoonki rooh aik doosray se mili hoti hai.Ye waisey to aik un-hooni baat
hai,magar hmein ye baat bhi mad-e –nazar rakhni chahiye k ISHQ ki duniya is
duniya se bilkul juda hai. And this is also true that DUNIYA-E-ISHQ exists in reality.
Ishq aik aisa jazba haik jo is kaafiat se na guzra ho wo bta nhi sakta aur jo guzar
jae wo btaaney k qaabil nhi rehta.Ishq "kia" nhi jaata blkey "ho" jaata hai, aur is
andaaz se hota hai k bandey ko pta nhi chalta.Ishq apney shikaar ko nihaayiat
chaalaki se phansata hai.Pta tb chalta hai jb log us k andr kisi aur ki soorat
dekhain,us k andar kisi aur ka wujood nazar aye.
IshfaqAhmed ne kha hai:
"Apni"main" aur "anaa"ko kisi k saamney paamal krna ISHQ E MAJAAZI hai aur apni "main" aur "anaa"
ko sab k saamney paamal krna ISHQ E HAQIQI hai."
“JANAAZA
NIKALA
APNI
ANAA
KA,
MAAR
DALA
APNI
MAI
KO
AGAR INSAAN KI KHAATIR TO ISHQ-E –MAJAAZI, KHUDAA KI KHAATIR TO ISHQ-E-HAQIQI
JO
IS
SE
ISHQ
JO
JO
NAA
GUZR
NAA
HAI
GUJREY
HI
IK
GUZREY
JAE
WO
WO
WO
BAYAAN
NHI
AISA
BYAAN
“QAABIL-E-BYAAN”
KR PAATA
JAZBA
NHI
NHI
KR SAKTA
REHTA”
AQAL aur ISHQ hmesha se aik doosrey k dushmn rhe hain.AQAL k paas main aur anaa k sivaa kuch nhi
hota,isi liye ALLAMA IQBAL ne ishq ko aqal pr targeeh di hai.
“be khatar koud pra aatish-e-namrood mein ISHQ
Aqal hai meh-we-tamaasha-e lab-e-baam abhi”
“Muhabbat aur ISHQ mein far’q yehi hota hai muhabbat mein anaa dil pr ghaalib hoti hai jb k ishq mein
dil anaa pr ghalib aata hai”Kyun ghaalib hoti hai is ka jawaab aap ko novel”ain shakal e qalb” main mile
ga.
MUHABBAT SE ISHQ KA SAFAR IS TARAAH BYAAN KIA JAA SAKTA HAI K;
Pyaar=] Aqeedat=]Muhabbat=]Ishq-e-majaazi=]laahasil ishq- e-majaazi =] ISHQ-EHAQIQI.
Sirf KHUDA hi hai k jis ko jab bhi koi talaash krta hai ya muhabbat krta hai to KHUDA ka ISHQ use
zaroor milta hai……jb k is k ilaava,
ishq apna shikaar khoud chuntaa hai.Insaan ko pta bhi nhi chalta k usey muhabbat ho gai hai.
Waqt un donoo ko mulaqaat ka chance deta rehta hai or jb yaqeen ho jaata hai k wo donoo aik
doosrey k baghair nhi ren sakte to un ko aik doosrey se juda kr deta hai Yhi wo duk’h hota hai k jis
ki taaab na la kr un doono mein se koi aik mr jaata hai ,jb ke dooosra ISHQ-E-HAQIQI ko
pohnc’h jaata hai.
You Asked “how?”
Muhabbat mein “do wujood yak jaan waali baat hoti hai”.Jism alag hote hain magr rooh aik hoti
hai,do diloon ki aik dharkan hoti hai Hmaare liye ye aik un-honi hai.Hm kehte hain k yeh na
mumkin hai…Hmaari sock ka daaira mehdood hai.Ishq ki duniya mein to insaan apna naam tk
bhool jaata hai ,aksar blkey boht se loog to paagal ho jaatey hain..BELIEVE ME IT’S TRUE.
Ishq mein doonon wujood aik doosrey mein convert ho jaatey hai.”Tu” aur “Main” aik ho
jaatey hain. Isi liye to logon ko us insaan me kisi aur ki soorat nazar aati hai,banda
samajh’ta hai k wo normal hai,mag’r us k shab-o-rooz badal jaate hain.Sb se simple
nishaani ye hai k loog kehne lgein:”tumhein muhabbat ho gai hai”
This is a reality,such stories still exist in modern era.Agar is taraah ka koi jazba na
hota too hmaarey urdu novels and books mein is ka zikr na hota,jb k hm dekhteey
hain k is topic pr boht se novels likhey jaa chukee hain.(HMAAREY URDU K
PROFESSOR NE NOVELS AND AFSAANEY KI DEFINITION YEHI
BTAAI THI K YEH WO STORIES HOTI HAIN JIN K KIRDAAR
HAQIQI ZINDAGI MEIN ,DIFFERENT NAAMOO SE HAMAAREY
IRD GIRD MOJOOD HOTEY HAIN aur YEH HAQIQAT KI BASE
PR LIKHEY JAATEY HIAN.)
The Majzoobs and Mujaawirs <the green clothed people,that most of you consider lunatic}
Have mostly suffered from all this…
“Ishq ki duniyah mein aksar kha jaata hai k “KAMLA BAN ,FAIDEY MEIN RHE GA,SIAANA BNE GA TO
NUKSAAN HO GA”” these are the words mostly said by These Majzoobs.Agar aap ne novel”ain shakal e
qalb” prhaa hai to aap ko yeh pta chal jaey ga k aqal k ziaada istimaal se kyun inkaar kia jaata hai.(IF YOU
DON’T LIKE TO READ URDU NOVELS:ALSO THEN PLEASE I REQUEST YOU TO READ THIS “REAL STORY
BASED NOVEL”AIN-SHAKAL-E-QALB(ain-sheen-qaaf(ISHQ)))
It’s a complete philosophy.Many poets prefer ISHQ over AQAL.
“IMPORTANT PART PLEASE IS KO SAMAJ’H K PARH-NAA
(kisi se zikr mat krna.ho sakta hai wo smaj’h na skey aur
Aap k emaan pr shak krne lge..be careful)”
Insaan jis se muhabbat krta hai,agr wo us se ziada time door rhey to us ki muhabbat
,ISHQ-E-MAJAAZI ka roop dhaar leti hai,aur usi waqt insaan ko ilm hota hai k usey
muhabbat ho gai hai,magar ab wo muhabbat k khamoosh qaatil se bhaag nhi
saktaa.ISHQ-E-MAJAAZI mein insaan ko hr wujood,KHUDA ki WAHDAANIAT(GOD IS
ONE(MONOTHEISM))ki shaadat deta nazar aata hai(NAZRIA-E-WAHDAT-USSHUHOOD).Usey binaii k saath saath nazar-e-benaa ataa hoti hai.
ALLAMA IQBAL ne aksar apni poetry mein kha hai k “KHUDA SE BENAII NA MANG
,NAZAR-E-BENAA MAANG.” Benaii jaahir dekhtii hai magar nazar -e -benaa baatin bhi
dekh letii hai.(isi liyee majzoobs ko KHUDAA ki taraf thora boht (kisi insaan kay) )
mustakbil ka ilm bhi hota hai.WO wo kuch bhi deikh laitaa hai jo doosrey nhi daikkh
saktey.
ISHQ-E-MAJAAZI ki last stage hai ISHQ-E-HAQIQI , (yeh wo baat hai jo mujhey boht
mushkil se pta chali),and this stage is somewhat I should say dangerous
because boht se loog mehboob-e-majaazi k juda honey ka sadma
bardaasht nhi kr paatay,ya to mar jaatey hain,ya phir pagal aur
deewaney(majnoon) bn jaatey hain or kabhi bhi normal nhi hotey.Kaha
jaata hai k saanp(snake) ka kaata theek ho jaata hai magr ISHQ ka kaata
kbhi theek nhi hota.
(Ishq ,insaan kbhi mukammal tor pr bhulaa nhi sakta.Ho sakta hai k waqt k
saath saath is ki shiddat mein kami aa jaey.Ye insaanon ko juda hi us waqt
krta hai jb iseyYAQEEN ho jaata hai k wo aik doosrey k baghair zinda nhi
reh saktey.)
ISHQ-E-HAQIQI mein insaan sb kuch bhool jata hai,even wo apney ghar
waalon ko aur apney MAA BAAP ko bhi nhi pehchaanta ,yhaan tk k wo
apna naam bhi bhool jaata hai aur yehi wo maqaam hota hai ka jb ISHQ-EMAJAAZI ,ISHQ-E-HAQIQI mein convert ho jaata hai,wo ALLAH ka aur
ALLAH us ka ho jaata hai.Wo apna naam tk bhool jaata hai aur usey sirf
yehi pta hota hai k us ki haqeeqat hai”banda KHUDA ka”.
“Tujhey daikh kr wo doii uth gaii hai
Apna bhi saani hm ne na payaa na daikha”
Is ka matlab ye hai k insaan KHUDA ki zaat mein itna doob jaata hai k usey apney
aap mein aur KHUDA mein koi farq nazar nhi aata,yhi wo maqaam tha jahaan
“MANSOOR-AL-HALLAJ” ne “ANA UL HAQ” ka (na’ara)slogan buland kia tha.Yhaan
pohnch kr insaan ki anaa aur main mukammal tor pr khatam ho jaati hai aur ISHQ
,AQAL pr ghaalib aa jaata hai.
Main ne aap ko is liye warn kia tha;
ISHQ_E_HAQIQI mein insaan ko hr jga KHUDA nazar aata hai,aksar wo kisi aur
ko SAJDA bhi kr daalta hai(NAOZOBILLAH(hmaarey liye)) aur kehtaa hai k
main ne KHUDAA ko sajda kia hai.Insaan ko hr manzar main KHUDAA dikhaai
deta hai.(NAZRIA-E-WAHDAT-UL-WUJOOD). ASAL mein usey us cheez
mein,us manzar mein KHUDAA nazar aata hai ,aur USEY hi wo sajdah krta
hai,magar koi bhi aam admi yeh baat samajh nhi sakta.PLEASE DO READ
ABOUT MANSOOR AL HALLAJ(A MAN WHO REACHED AT HEIGHTS OF
ISHQ-E-HAQIQI.)
Duniyaa dhutkaar de to KHUDAA yaad aata hai,
Duniyaa se tawakko uthtii hai,Bhuula KHUDAA yaad aata hai,
Pehley hr wujood KHUDAA ki yaktaii ki shahadat deta hai,
Phir hr wujood k ander KHUDA dikhaai deta hai,
KHUDA KHALIQ HAI,, KARSAAZ HAI, PARWARDIGAAR BHI,
HAR SU JALWA AFROOZ HAI,WO MADADGAAR BHI,
Jo dekho benaai ki nazar se WO ba-hijaab bhi,
Jo dekho nazar-e-bina se ,hai be-hijaab bhi,
Yeh kaisi ajab hai zaat
USKI,
Parda-kusha bhi hai,parda-daar bhi,
Jidhar dhiyaan doon , udhar TU hi TU hai,
Aankh jidhar deikhey KHUDAA rubaroo hai…..
{NAZRIA-E-WAHDAT-UL-WUJOOD aur NAZRIA-E-WAHDAT-US-SHUHOOD , ye
donoo mukammal falsafey hain jin k baarey mein aap par’h saktey hain. }
IS tarh se muhabbat ISHQ-E-MAJAAZI mein,ISHQ-E-MAJAAZI ISHQ-E-HAQIQI
mein convert hota hai……
IQBAL ki poetry pr boht se logoon ne kuf’r ki fatwa dia tha…bazurgh bhi apney
bachoon ko isi liye is topic se door rakhtey hain k kahin un ka “EMAAN”
kharaab na ho jaey..
Ishq kisi insaan se hi nahi blke kisi un-dekhi cheez se bhi ho jaata hai,kisi ki
aankhoo (eyes) se,yhaan tk k us se bhi jis ko aap ne kabhi dekha tk naa ho..
MERA RESULT HAI HSSC-I ka (fedral board) ,PLEASE DUAA KRNA……I
NEED YOUR PRAYERS
MAIN NE AIK NEW THREAD BHI POST KI HA K:
”WO KOUN SA JAZBAA HAI,KIA CHEEZ HAI JO ISHQ-E-MAJAAZI MEIN
NAKAAMI K BA’AD INSAAN KO KHUDAA KI TARF LE JAATI HAI……….?
Wo kis tarah convert hota hai yeh main ne aap ko btaaney ki kooshih kii hai….
Main pehle is tarah ki kahaanioon ko jhoot samajhtaa tha magar jb aap ney sawaal
kia to main ne socha k is k baarey main kuch soochna ,kuch parhnaa chahiyee..
AAP k is sawaal ne mery bhi boht se ghalat views theek kr diey…….THANKS
>>>>MAIN NE APNI POST KI HOI THREAD KA BHI AIK JAWAAB
HAASIL KRNEY KI KOOSHIH KI HAI……..wo is se related hai magar
bilkul different hai..
“DUNIYAA KI TAMAAM SACHII MUHABBATEIN SIRF KHUDAA
HI KI RAAH DIKHAATI HAIN..”
Main INSHA-ALLAH aap ki e-mail pr us ka jawaab bhi type kr k bheej doun ga..
AAP KO WAIT KRNA HO GA KYUN K MERI TYPE SPEED SLOW HAI>>>>
ASSALAM-O-ALEIKUM