Untitled - Meri Kavita, Tum to sunogi na

Transcript

Untitled - Meri Kavita, Tum to sunogi na
SHABNAM
©Arun Bansal
Year 2012
Version 1.0
Arun Bansal,
#3110 GF, LIG Flats
Sector 52
Chandigarh
09855443849
www.merikavita.info
[email protected]
Published By
Saahb Informatics
www.saahbinformatics.com
‘SAAHB’
Page 2
SHABNAM
Phulon se chehre per shabnami paseena
Aao tumhe apni palkon se hawa kar dein
Mere haathon mein apna chehre rakh de sanam
Mujhe bahut khawahish hai chaand chhoone ki
Sehar ke baad khuli aankh meri, madhosh si
Gayee shab ke kisse, mujhse koee na puchhe
Main woh toota hua sitaara hoon 'saahb'
Jisko dekh kar usne koee dua maangi thi
Meri itni si baat maan lo 'saahb'
Bus ek baar haath thaamna chahta hoon
Suljha do kissa mere ishaq ka kissi tarah
Uski nazar woh puchhti hai jo mujhe pata nahin
Hashar ka roz aur saamna unse
Us per sawal khuda ka, sach kaho
Mera tumhaare saath hona, jaise chaand o raat hona
Sab samjhein ki kudart aur sabke saamne mulakaat hona
‘SAAHB’
Page 3
SHABNAM
Beemaar e mohabbat ka haal puchhna chahiye
E fakeer tumhe saans aa rahi hai kya
Rakhti hai nazar mere aane jaane pe 'saahb'
Tujhe na sahi teri nazar ko meri fikar hoti hai
Mere alfaaz mein tera zikar laazmi hai
Aur yeh bhi laazmi teri pechaan na ho
Mohabbat per mitne waale bahut honge magar
Ek bewafa per mitne waala, 'saahb' dekh lo
Chiraage e mohabbat jal raha tha ek dasht mein, kal raat
Sehar huyee to byaabaan tha 'saahb' shehar kahaan pata nahin
Mujhe aur bhi kaam hein mohabbat ke siwa
Tum apni nazar hata lo mujhe rokti hai
Ghir ke aayee hein ghatayein mere liye hi 'saahb'
Tere jaane ke baad kaynaat teri surat bana rahi hai
Sulagte na chhod masle, bujha de is aag ko
Inkaar hi karde agar tujhe ikraar nahin
‘SAAHB’
Page 4
SHABNAM
Pachtaaye bahut 'saahb' hum dil de ke unhein
Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota
Aa gayee mere zehan mein kal yeh baat achanak
Rok bhi sakta tha tumhe, per der ho chuki hai
Bagair tere mera kaun 'saahb'
Tum samjha rahe ho aur milenge
Rahega phir mujhe tera hi khyaal
Agar main tujhe bhul bhi jaun to
Aa gaye ho aaj mujhe samjhaane tum 'saahb'
Peeri mein kya haan kya naa kya mohabbat
Mere hosh chheen lo mere hawas chheen lo
Ek akela dil tumhe kya kya tassali dega
Saagar e mohabbat mein qadam badhaata ja raha hoon 'saahb'
Paani ab sar se uper behne laga hai, main doob raha hoon
Mujhe kya duniya kare jo marzi uski
Arey mera pajaama chhodo, arey arey
Mera adab yeh kehta hai ki jhuk ke chal zabee
Jo kadwai hai duniya to use meethi nazar dekh
‘SAAHB’
Page 5
SHABNAM
Chalwa do meri qabar per koee road roller
Mere hosh gaye mere hawas gaye tumhe dekhkar
Main gustaakh nahin bekhud tha, mujhe maaf karo
Sambhaalo apne dil ko zara 'saahb'
Woh badtameez samjhenge tumhe
Hum talabgaar huye unki, unki gali chal diye
Ek lambi si line thi, ek lamba sa intezaar tha
Hum talabgaar huye unki, unki gali chal diye
Ek lambi si kataar thi, ek lamba sa intezaar tha
E mere hone waale mehboob tujhe kya kahoon
Tera kya kasoor tujhe kya pata meri mohabbat ka
Shehar e mohabbat mein woh dekha gaya hai awaaragard
Na jaane kiski talaash mein gali gali 'saahb' ghum raha hai
Mere mohabbat se bhare dil ki baat karo
Zamaane ka dar tumhe, mera nahin rehne deta
Adab hai jo woh tu tu kare 'saahb'
Main aap kehke raasta chhod doon
‘SAAHB’
Page 6
SHABNAM
Mujhe woh taaqat na de, ki maar daalon
Woh ilm bakhash maula, sar na jhukaana pade
Koee sabar ka imtihaan le to, zabat kar sakoon
Mujhse magar shaan e ikhlaak mein gustaakhi na ho
Main waqt pade to use saza bhi de sakoon
Mere khuda mujhe zubaan meethi dena magar
Mere khuda ki marzi hai, mera kuchh nahin
Mohabbat mera gunaah nahin ibaadat hai
Mere hokar mujhe apna lo 'saahb'
Mera wajood ab tanha nahin reh sakta
Nazar e karam mujh per jo tera ho jaye
'Saahb' kya baat hai mohabbat ka ilm ho jaye
Yeh aashnayee kayam rahegi humesha
Tum mujhe pehchaano na pehchaano
Deedawar honge aur bhi bahut se 'saahb'
Meri nazar magar tum dhundha karoge
Dehka dehka hai khyaal mera
Tujhe benaqab 'saahb' ne dekh liya
‘SAAHB’
Page 7
SHABNAM
Yeh baarishon ka mausam nahin hai 'saahb'
Apni aankhon ko itna bhi nahin samjha sakte
Tera khyaal mujhe pareshaan kyon karta hai
Kya tum apni cheezein khud nahin sambhaal sakte
Mere baad tum yeh zor aazmayee karte rehna
Mere paas tumhaare imtihaano ka waqt nahin
Tumhe kya pasan kya napasand
Mujhe sirf tum achhi lagti ho
Sawal khatam nahin hote unke 'saahb'
Main jawab de dekar thak gaya hoon
Mujhe jawab nahin aate aur unhein sawal
Khamosh guftgu ka maza hi kuchh aur hai
Mere shaane per aa jao, takiya chhod do
Yakeen maano, neend, khaab se gehri aayegi
Mujhe pareshaan na karo 'saahb'
Dil e muntzir se pyaar ki baat karo
Barham zulf pareshaan libaas bister pe silwatein
Kya tumhaari bhi kal raat gayee hai karwaton mein
Mere unwaan ka koee mayne nahin
Ter kitaab per naam hi kaafi hai
‘SAAHB’
Page 8
SHABNAM
Sambhal e dil kahaan ja raha hai
Yeh gali tere liye band ho chuki hai
Khumaari ko kaafi hai tera ek nazar dekhna
Mujhe sharaab nahin chahiye 'saahb'
Kad e but mein sangemarmar ke log
Masjid mein kya aur khubi hai?
Meri mohabbat ke saaye, kadawaar bahut hein
Teri bewafayee se zyaada meri wafa ka zikar hai
'saahb' dil ka zehan se juda ho jana
Zabee o seene mein alag ho ke so jaana
Yeh shab na jaane kya chahti hai mujhse
Agosh e yaar chhod aagosh e khaab kho jaana
Meri hasti ka tujhse kuchh nahin waasta magar
Yeh baatein meri saansein samjh nahin paati
Khilone kissi kaam nahin aate 'saahb'
Jo dil behlata bhi hai to zid ke zor per
Aankhein meri talabgaar kar ke
Aks usne parde mein chhupa liya
Hum tarse yun ki aur kya karte
Aakhir humne dil ka gala daba liya
‘SAAHB’
Page 9
SHABNAM
Khuda se maang li tere liye sab duayein
Tujhe garoor hai ki khud se kamyaab hai tu
Rang e mohabbat nikhar kar aaya hai un per
Woh itra rahe hein kabhi yun to kabhi yun
Bachaana daaman is mehtaab se tum
Bigad jaye to daag ban jaati hai mohabbat
Tehreer e aadam hai falsphon se bhari
Woh ek hi baat kehte hein 'saahb', mohabbat
Tere wasal mera zehan nahin bhul pata
Dil ko hum kabka zehar pila chuke hein
Gore gaalon per surkhiyaan jawani ki
Koee chhed de gar aaj to maaf kar dena
Nahin is biyabaan ka koee bashinda 'saahb'
Is ujde dyaar mein koee jagah khaali bhi nahi
Mere hosh mein maine kabhi nahin dekhi
Kya tum bata sakte ho wafa kaisi hoti hai
‘SAAHB’
Page 10
SHABNAM
Rahi hai kashish humesha se sheyaron mein
Kissi ki dilchaspi shayar mein nahin hoti
Shadaab nazar hai aajkal unki
Kya meri tasweer dekhte honge?
Haq e mohabbat mein chheena jhapti nahin
Yeh milti hai ikraar se thoda pyaar se
Saaki se bhi puchh lo kabhi, piyega kya
Mehfil mein ek bhi sufi 'saahb' kyon rahe
Khyaal e yaar ki dastaan bana ke mehfil loot li
Mera raaz reh gaya, duniya deewani ho ke jhum li
Mausam e bahaar hai 'saahb' aa jao warna
Amaanat aapki humse aur sambhaali na jayegi
Kisko dhundh rahi hai nazar aapki kahiye, Kahin main to nahin
Nahin! Arey mujhko na sahi meri tasweer dekhiye, shayad kahin
Woh sakoon paakar, sakoon se chale gaye
Hum jo unhein de diya woh dhundh rahe hein
‘SAAHB’
Page 11
SHABNAM
Aa gayee phir saamne 'saahb' tasweer yaar ki
Sar chakra gaya dil doob gaya, aankh bhar gayee
Mera nahin hai sayaa bhi 'saahb', tanha hoon
Tera khyaal sirf khyaal hai, aur kuchh nahin
Mera nahin hai paimaana koee mohabbat ka
Tum apni baat karo kitne dim kar sakte ho
Raha na khyaal e yaar mein khyaal khuchh bhi
Woh bhi keh baithey jo kehna badtameezi tha
Rahe hasrton mein hi mere din raat 'saahb'
Tera khyaal kya hai koee khaali baitha hai yahaan
Lakeerein kya de sakti hein tumhe
Baajuyon mein jaan honi chahiye
Humein aapse milne ka koee khaas shauk nahin hai
Rakha karo apni ana ke jalwe, 'saahb' aaeeno ke liye
Mohabbat phir ho jayegi tumhe 'saahb' dekh lena
Mujhse thukra ke dil tumhe, chain se rehne nahin dega
Mera tumhaare shaane per neend se gir jaana
Aur tumhaara uth kar bhi lete rehna, mohabbat hai
Mere hosh chheen lo 'saahb' kissi tarah
Yeh khyaal o khaab muhje bardashat nahin
‘SAAHB’
Page 12
SHABNAM
Rehmat e mohabbat hai barsi mujh per 'saahb'
E khuda tera har baat ke liye shukriya
Patte gir jaate hein shajar se khizaan mein
Tum keh rahe ho yaaro ka kaafila chalega
Mil jaati agar mujhe tu kahin
Main kuchh aur hota zindgi mein
Fakeeron ko kya mohabbat ka waasta 'saahb'
Yahi chhod kar to hum aage nikal aayein hein
Rahi chaandni raat phir mere sehan mein
Teri khyaalon ke sab jugnu jagmagaane lage
Raahein mohabbat ki juda juda hein magar
Manzil e mohabbat ek hai, 'saahb' maikada
Raaste wohi hein, manzilein wohi hein, mukaam wohi hein
Wohi wafa ki dastaane 'saahb' shayron ke kalaam wohi hein
Ramaj e mohabbat ko samjh to sahi 'saahb'
Woh muskura rahe hein, haath pakad lo abhi
Mujhe samjha to do yeh raaz ki baatein
Nazar se kya samjha gaye ho tum mujhe
‘SAAHB’
Page 13
SHABNAM
Ishaare se samjhayo mujhe koee baat 'saahb'
Tum bolte ho main kho sa jaata hoon,
Samjha nahin paata hoon
Bekraar e mohabbat ko samjhaaya kaise jaye
Har baat pe kehta hai, pehle unhein laayo
Mere hosh mein nahin hua yeh sab 'saahb'
Main pehle nazar ke baad madhosh sa tha
Ravish is dil ki na puchh mujhse 'saahb'
Dushmano mein saare yeh dushman bura hai
Waaeez mere sawal se pareshan hai 'saahb' puchhta hoon
Kyon main pareshaan hoon, gar wafa badi cheez hoti hai
Raahgeer nahin hoon, jo aage ka ishaara kar diya
Meri talab mohabbat hai, haq e aashiki ada karo
Aansso do gir gaye meri aankh se kal
Mere dost magroor ho gaye, raaste juda
Mere nagmon mein tum aaj bhi ho
Tumhaare maazi mein bhi main nahin
‘SAAHB’
Page 14
SHABNAM
Mera hi haal hai tumhaara bhi 'saahb'
Tum hans rahe ho hum hans rahe hein
Mera hone ka aakhir tu kya lega 'saahb'
Mujhe nahin zarurat e humsafar na chahiye kaafila
Yeh safar mera hai yeh manzil meri hai yeh raasta mera
Mujhe mere haal per chhod do 'saahb', tum jao
Tumhe kya main bhulun ya yaad karoon, tum jao
Yeh jaate waqt afsos ke jumle, mujhe nahin chahiye
Tum badal gaye tumhe aur bhi kaam hoga, tum jao
Tujhe chhoo ke dekhun zara, kya farak lagta hai
Shekh g bata rahe hein khuda hai tu, pather nahin
Mujhse nikal gaya hai shayad kaam unka
Puchh rahe hein kaun? tum kahaan rehte ho
Zikar e mohabbat na kar mujhse
Aakhiri dum yeh dillagi achhi nahin
Kalaam e yaar sunta hoon, gairon se
Log mazaar pe aa ke uske geet gaate hein
Mere saamne aa gayee aakhir woh ghadi
Faisla karna hai, yeh jahaan ki woh jahaan
‘SAAHB’
Page 15
SHABNAM
Baaton baaton mein aasmaan jhuka dete hein
Jo boond bhi gir pade, sar foot gaya kehte hein
Thokar hi sikhaati hai sambhal ke chalna
Jo girte na to 'saahb' uth te kaise
Chiraag e umeed kuchh jalayo to sahi
Ek baar mere dost muskurayo to sahi
Khud b khud naye rishety o raaste banenge
EK baar phir qadam badhayo to sahi
Kabhi khud se kabhi duniya se kyon
Jung hi nahin hai zindgi ka maane
Shayad kissi ne sikha diya hai sakoon e zindgi tumhe 'saahb'
Shikwa shikayat dard aansoo gam o tanhayee araam ka samaan hai
Haalat e zindgi per yun tanz achha nahin
Khyaal kar byaan kar ab 'saahb' bacha nahin
Nahin galti yeh 'saahb' ki mohabbat hai tumhe
Yeh achhi baat nahin gair pe haq jata rahe ho
Mujhe apni hi nafrat se mohabbat hai
Na kar mohabbat jo mohabbat nahin
Aur bhi kaam zamaane mein hua karte hein
‘SAAHB’
Page 16
SHABNAM
Tamaam raat yahi soch mein guzar gayee
Main khud na utha to mujhe uthayega kaun
Ek baar koshish to karne do mujhe
Yeh zulf mujhse bhi suljh sakti hai
Jhuka hai sar mera shaan e mohabbat mein
Mera adab yeh kehta hai khamosh guftgu ho
Waqti taur per ho jaate hein kuchh haadse
Zindgi un lamhon per phir munasar rehti hai
Zindgi yun hi guzar jaayegi aapki, sawalon mein
Kabhi mera jawab bhi suniye, aap bahut zaheen hein
Meri baahein khud b khud simat gayee
Thundi hawa ne mujhko teri tarah chhooa
Baahein khol di maine samander ke liye
Mujhe samet le, meri tanhayee samet le
Woh nazar ki nazaara umar bhar ka ban gayee
Usne phir kayee baar dekha mujhe, woh baat nahi
‘SAAHB’
Page 17
SHABNAM
Haath ki jumbishe mujhe bechain karti hein
Tera chhoda hua lamha aaj bhi yahaan rakha hai
Ek lamha ek nazar ek sawal ek dard ek dastaan 'saahb'
Mera haath tere haath se chhoot kar, kaampta sa reh gaya
Reh gaya ek lamha qaid ho ke nazar mein
Yeh waqt mujhe teri tarah azeez rahega
Meri tarah koee tanha nahin shayad, warna
Suna hai zindgi apne jaise dhundh leti hai
Mera dard kissi ko raas nahin aata
Shayad isiliye ab koee paas nahin aata
Tanhayee ke lamhe kaate nahin jaate ab
Tera kya mujhe khud ka ehsaas nahin aata
Kissi tarah yeh zindgi bigdi huyee ban jaye 'saahb'
Mera ho jaye, kissi tarah unhein itna majboor karde
Tum talaashi le rahe ho nazar se yun
Mere paas mera ab dil bhi nahin baramad hua
Usne talaashi li nazar se yun
Mere paas dil bhi baramag nahin hua
‘SAAHB’
Page 18
SHABNAM
Nikal aayee na jaane kahaan se tasweer teri
Shaq police ko tha janaaza jhuth hai 'saahb'
(thought>>she has sent police to inquire if i m really dead)
Haadse waqt de mathey madhh ke main
Ek raat phir chain di neend son gaya
Tere aane ko lekar afwaahein uth rahi hein
Dil ghabra rahe hein, istekbaal mein
Main nahin karta yeh badtameezi 'saahb'
Tumhe dekhkar aah nikal hi jaati hai
Yakeenan uska hona badi baat hai 'saahb'
Kya gazab ki kahin mera ho jaaye woh
Ishaq ki fariyaad aur mohabbat ka waasta
Usne dastaan mein yahi do baatein kahin
Rehbar ne kaafil raaston mein rakha
Manzil tak mujhe awaaragardi le gayee
Shauq e mohbbat hua humein bhi 'Saahb'
Chaak girebaan ghar se hi pehan ke nikal pade
‘SAAHB’
Page 19
SHABNAM
Mere dil ke talukaat unse baaki hein
Woh sirf nazron se baahar hua hai 'saahb'
Ishaq meri zubaan hai adab mera kalaam
Mera naam mohabbat hai, tumhe jaanti hoon
Mere yaar kehte hein badal sa gaya hoon main
Mohabbat ke baad ky sach mein aisa hota hai
Meri jaan se kam kuchh nahin chahiye unhein
Mohabbat ki baat, bigad gayee hai, zid se
Nahin batana haal kya hai unko 'saahb'
Kahin phir na keh de, ki mujhe kya
Mere aane jaane per bhi paabandi 'saahb'
Woh dhamka rahe hein khabardaar, khaab nahin
Mera tanha reh jaana phir, koee nayee baat nahin
Mujh per taras na kar, e musaafir apni manzil kar
Meri baaton ka bura maante ho 'saahb'
Deewane ke saath deewane ho rahe ho
‘SAAHB’
Page 20
SHABNAM
Ishaq ka bazaar bhi lagta hai kahin
Paise waale dil khareed ke le jaate hein
Meri mohabbat per aitraaz hai shekh g ko
Charcha mein unke khuda se zyaada dastaan hai
Mujhe aur be-izzat na karo 'saahb'
Main phir mohabbat nahin kar sakta
Mujhe koee waasta na daalo
Main bik chuka hoon ek baar, phir nahin
Meri keemat ab kuchh nahin, mera maalik hai
Ab kya sunein dastaan teri 'saahb'
Wohi dard wohi gam wohi fariyaad hogi
Wasool kar mere dil se jo kharch hua hai tera
Ek nazar waapis maang le, chheen le, ho sake to
Mujhe bad-dua de 'saahb', koee pather maar de
Main majboor hoon 'saahb', bewafa hone per
Apni majbooriyaan na gina mujhe
Saaf keh bewafa hona chahta hoon
‘SAAHB’
Page 21
SHABNAM
Shehar mein charcha hai ki, mohabbat ka mausam
Ek tere jawaan hone per kya, duniya badal gayee
Surmayee nazar ko zara ehtiaat se rakha kar
Koee chheen kar le jayega, deewaana hokar
Dil ne koee gali koee dar na chhoda 'saahb'
Mujhe awaaragard ke naam se tera shehar jaanta hai
Shehar mein dekha gaya hai ek fakeer 'saahb'
Patherbaazi ke baad deewane ki kismat badal gayee
Mujhe aur bhi aate hein ilm 'saahb'
Mohabbat mera hunar hai sabse juda
Mohabbat ek aisa jazba 'saahb'
Jismein shaq hai na shikwa shikayat
Nahin aata mujhe theek se manana magar
Koshish karunga 'saahb' roothne ka mauka na mile
Raha hai nakash tere shaamil hai shai mein
Aaeena bhi dekha hai to tujhe dekha hai 'saahb'
‘SAAHB’
Page 22
SHABNAM
Kuchh khyaal duniya ka bhi
Yun sanwarna theek nahin
Mujhe khel ke kaayde samjh nahin aaye
Tum sitam karo main aah nahin, kyon
Vakeel bhi tu musif bhi tu adalat bhi teri
Hum haar jayenge magar, tujhse! kya baat hogi
Mohabbat kissi ko kya deti hai 'saahb'
Apna hi dil hai kabhi khud per kabhi khuda per
Mohabbat khuda ka dikhaya woh raasta
Jis per chalkar aadam khuda tak jaate hein
Na jaane kis se dil laga baithey ho 'saahb'
Mohabbat mein mod aate hein manzil kahaan
Patte kiss kaam ke yeh gire huye?
Hai na jalayo inko! koee shajar palega
Raaste saaf ho rahe hein dheere dheere yaaron ke
Manzilon ki taraf humaare kaafile badh chale hein
‘SAAHB’
Page 23
SHABNAM
Munsif hai bika hua, insaaf kaisa
Unke tarafdaar per mukadama kaisa
Raaste abhi badal lo gar ho sake to 'saahb'
Tum ro rahe ho, tumse yeh manzil nahin hogi
Main kya hoon mujhe khud pata nahin
Woh bata rahe hein, kamaal ho tum
Mera hona hi kaafi nahin e khuda
Mujhe woh mukaam de jiska haqdaar hoon
Dil ki baatein samjha rahe hein unko
Jinka seene mein dil ki jagah pather
Mukar jaata hai woh 'saahb' baat bana ke baat se
Mujhe samjha raha hai itni mohabbat na kiya karo
Raha karte pareshaan pareshaan sa kabhi
E 'saahb' kahin tum bhi kissi ka dil hote
Pareshaani badh na jaye kahin mohabbat se
Aa faisla kar lein zara, ilzaam kaun lega
‘SAAHB’
Page 24
SHABNAM
Saath rehkar shayad, fikar e duniya badh jayegi
Kyon na door hokar, umar bhar ki pyaas ban jayein
Mujhe mohabbat ki rasmein raas nahin aayee
Meri khud ki khata hai ki bawafa nikla hoon
Ek khala sa hai tere mere beech aaj bhi 'saahb'
Shayad apni apni pehli mohabbat bhule nahin hum
Woh ukta gaye hein meri mohabbat se shayad
Puchh rahe hein koee aur baat kar sakte ho
Pagdandiyaan raaste ban jayengi, hum aur aage badh jayenge
Yeh biyaabaan abaad ho jayegi, yeh jharne sadkein ban jayenge
Kissi ne daulat chuni, kissi ne khuda, kissi ne mehboob
Main samjh hi nahin saka, kya chheenu, main loot kar aa gaya
Waqt ke aage sab jayaz hai 'saahb'
Yeh bada chhota uncha neecha nahin dekhta
Raah wikhaawe satgur saanu, baahn aap fade oh saadi
Saada jap ki saada tap ki, saadi hasti wich oh bolda
‘SAAHB’
Page 25
SHABNAM
Umar bhar ka shaur de gaya woh mujhko
Ab nazar har chehre pe nahin rukti
Nahin badla karta kuchh bhi 'saahb' waqt ke siwa
Haan waqt ke saath log halaat nazar badal jaati hai
Menu bukhaar chadhiya ishaq da, 'saahb' meri seeti waj gayee
Main vi ghar nu aa gaya pher, oh thappad maar ke bhaj gayee
Assin bhule nahin bhulaya hai usnu
Alga pahaada ishaq da padhna ju hoya
Har shakhas nahin shaamil is bhed chaal mein
Adab abhi baaki hai kahin kahin, jaise yahaan
Main itna bhi nahin hoon talabgaar mohabbat ka
Apna adab chhod doon, kissi se fariyaad karoon
Meri hi khata hai 'saahb' meri hi rahi hogi
Tum rutho mat, mahine ke aakhiri din, kya kar sakta hoon
Khata mohabbat ki ho gayee humse, yeh kiske saath
Woh puchh rahe hein, koee armaan baaki hai to bata
‘SAAHB’
Page 26
SHABNAM
Khudi kadam badha ko manzil chahiye
Rehnuma hota to kya raaston mein hota
Apni nazaron se kehdo zara had mein rahein
Meri nazaron se yun milna julna inka theek nahin
Mujhe aur to kuchh bhi afsos nahin magar
Yeh gam rahega, mohabbat meri hi pehal thi
Nahin yeh kissi ke bus ki baat 'saahb'
Jab honi hai mohabbat bus ho jaani hai
Shayad nahin tha teri lakeeron se meri lakeeron ka safar
Mil kar bhi na mile 'saahb', hum tumhaare liye ajnabi hi rahe
Mere nahin hai kuchh bhi sar tera hai 'saahb'
Yeh gum yeh tanhayee yeh main yeh mera haal
Tujhe aana hi hoga ab to dum e aakhir
Tere khyaal se yeh pyaas badh rahi hai
Pehla waar nazar se kiya usne 'saahb'
Phir dheere se chhoo ke mujhe lut liya
Manzil e mohabbat ki raaste mushkil
Tum chalo to sahi, pahunchege kahin
Nazrein unki hai sakoon bhari mujhe
Ek baar dekh lein agar, khumaar rehta hai
‘SAAHB’
Page 27
SHABNAM
Uski nazar mein woh khumaar ki, madhosh kar de
Woh muskura rahe hein 'saahb' mujhe nasha hota hai
Bachaate kahaan tak dil apna 'saahb'
Woh sanwar ke aaya tha lootne dil
Zulf mere shaane per uski, haath mere haath mein
Mere khyaal mein jo manzar hai, sach main ho jaye kahin
Woh mere pehlu mein baithey, itra ke kabhi
Main tareef mein uski kuchh kahoon to muskuraye
Rahega humesh mere dil ko yahi malaal
Tujhko chaand kaha 'saahb',
Tere aage kuchh bhi nahin
Mujhe mohabbat ka khyaal aaya jab tumhe dekha
Yun soch raha yeh duniya kissi kaam ki nahin
Tere libaas per yeh kaanch ke tukde 'saahb'
Chaand ko gher liya hai phir sitaaron ne
Tere chehre per woh chamak hai 'saahb'
Jo poonam ke roz mehtaab per dekhi gayee
‘SAAHB’
Page 28
SHABNAM
E kaafir mohabbat ko rota hai?
Khuda se bhi gaya sanam se bhi gaya
Raah e mohabbat mein yeh mukaam, ki rona aa gaya
Har baat jazab ho gayee per tera bhi gair ho jaana
Mujhe ek bhi mauka nahin diya mohabbat ne
Zubaan per inkaar aate aate ikraar ho gaya
Reh gayee hai meri nazar taras kar 'saahb'
Tere jaane ke baad kya dekhun kya na dekun
Meri apni hi nazar pehle waapis chahiye mujhe
Phir puchhenge use, aisa tujh mein kya dekh liya
Mujhe nahin pata kya ho jaata hai mujhe
Tumhe pukaar kar, khamosh kyon ho jaate hein
Nahin main tere kaabil, aage chalo
'Saahb' samhjo, e ishaq Mujhe maaf karo
Utar aayee hai zeene se chandni, chham karke
Main rakas dekhta hoon teri zulf ka zabee per
‘SAAHB’
Page 29
SHABNAM
Main khaak ka zarra hoon, tum abar aab se bhara
Main sehra ka hissa hoon, tum meri hasrton mein
Mere halaat pe tujhe sher sughtey honge
E zamaane soch ki meri jagah tu gar hota
Mere dil ka yeh faisla ki tera nahin hoga
Teri nazar ki yeh zid, ki aur ka hone nahin degi
Shekh g aa gaye, buton ki baaton mein
Azmayee mohabbat, masjid ka rukh nahin karte
Shaam ka dhal jaana tere shaane per 'saahb'
Aur chownka mera, apne hi ank mein simte huye
Aa gayee kya shonk se phir shab e hijraan
Mera pata ise shayad tumne bataya hoga
Kissi ki kya mazaal thi jo koee humko khareed sakta
Teri ek nazar ko 'saahb' jaane kaise hum bik gaye
Mere ander hi kahin tera wajood bhi hai shayad
Khud ko tadpa raha hoon 'saahb' bilkul teri tarah
Fursat mein waqt kati ko shaur e mohabbat samjhe
Jo rozgaar e jeesat mila, dafter hi masjid ho gaya
‘SAAHB’
Page 30
SHABNAM
Reja reja zindgi tukde tukde halaat
Tinka tinka haunsla Zarra zarra wishwaas
Kaise aur kahaan tak mera janoon e ishaq
lafz lafz hai daga pal pal badle ehsaas
Shab e wasal mujhe yeh khyaal aa gaya 'saahb'
Khuda tujhse pehle uthay mujhe hashar ke roz
Bhatake huye kaafile yeh, be-maqsad nahin
Shayad in aansooyon ki koee manzil nahin
Mujhse puchhta hai ki mera haal kya hai
Apne dil se puchh ki jawab kaisa chahta hai
Nahin dargaah e kam mujhe kooye yaar
Yahaan dafan hein kitni paak hasrtein
Na main chaand na tum suraj 'saahb'
Mitti apni aukaat bhul rahi hai dekho
Haajir e mohabbat ko 'saahb' thukra rahe ho
Woh kaun hai jiska intezaar kiye ja rahe ho
Muskura ke taal de uske sawal 'saahb'
Woh intezaar mein khud b khud maara jayega
‘SAAHB’
Page 31
SHABNAM
Main pather hoon 'saahb', mujhe pather hi rehne de
Bikhar jaunga mujhe khuda banane ki koshish na kar
Meri mohabbat ka safar taveel
Ibtada hai aagaaz hai anjam nahin
Aadat e mohabbat se baaz nahin aata 'saahb'
Mazaar se khaak uthti hai, butkade ki aur
Mujhe nahin yaad raha ki tujhe bhulna tha
Main woh wada dohraata raha, jo toot chuka tha
Mujhe na jaane kya ho gaya hai 'saahb'
Aankh nahin lagti, khaab musalsal hai
Gam e jeesat mujhe is mod per le aaya hai
Tere naam se sakoon milta hai, tere khyaal se
Mujhe aur nahin, meri tauba
E ishaq maine tujhe tarak kiya
Ujad gayee bastiyaan yahaan 'saahb'
Tum ek dil ko abhi tak ro rahe ho
Kya saboot kya adaalat kya muqdama
Vakeel woh munsif woh insaaf uska
‘SAAHB’
Page 32
SHABNAM
Mujhe bhula daala..
Kya sach mein (smile)
Yeh kaur pe aankh ke!!
Shayad kuchh gir gaya hoga!!!
Nahin???!!!!
Meri gustaakhiyaan gin rahe ho 'saahb'
Apna nahin dekhte, laakh wajah thi mujhko
Rahe na rahe duniya o bashar hashar ke roz, e khuda
Itna yaad rahe, unhein balayein chhoo bhi na sakein
Humne woh mukaam banaya hai ishaq mein
Aate jaate sajda karte hein, mazaar per
Masjid mein khuda ke saamne shekh g ne kaha, mohabbat karo
E duniya waalo yeh pather, mujhe naseehat mein pade hai
Mera koee nahin 'saahb' sab tere hein yahaan
Main rakeebon se shikayat karoon bhi to kya karoon
Sochtey hi reh gaye 'saahb' ki kya kahein
Woh puchh rahe hein, kuchh aur chahiye tumhe
Samjhaun tumhe ab yeh kis tarah
Mere dil ki dhadkanein tere naam hein
‘SAAHB’
Page 33
SHABNAM
Uljha uljha sa hai dil 'saahb'
Teri nazar ke masle gehre hein
Mujhe kissi karwat chain nahin 'saahb'
Silwatein nashtar si hein, shikasta jism ko
Utaar chadaav aate rahenge ishaq mein
Tera kaam mohabbat hai, apna kaam kar
Behal jayega dil shayad tere khyaal se
Thoda aur aa, thoda aur aa, mujhe yaad aa
Dastaan phir nayee kahaan se laun
Wohi puraana dil hai wohi puraana ishaq
Tera khyaal bhi tujhse kuchh kam nahin
Wohi sitam hai wohi tadap hai wohi naaz
Tamaam dashat tabeeb ke bhes mein aaya hai, yeh sun ki
Ki rog e mohabbat ka mareez 'saahb', mashwara chahta hai
Khud hi khud se sawal kitne 'saahb'
Kyon nahin? kyon nahin? kyon nahin?
‘SAAHB’
Page 34
SHABNAM
Khuda ya pather nahin hoon main ko ro na sakoon
Mujhe sangemarmar kehta tha woh jhutha tha
Mera zarf bahut hai magar itna bhi nahin
Mohabbat se badhkar koee imtihaan nahin
Lehrein bhi khamosh hein aaj, na jaane kyon
Tufaan ne shayad samander bhi doobo diya hai
Biyabaan hai yaadon ka jungle bhi ab
Mujhe tera yeh sahaara bhi nahin
Kya nahin kar guzarte hum bhi 'saahb'
Tera yeh keh dena hum tumhaare nahin ab
Mere hi rafeek they woh 'saahb'
Ab kis kis ka naam loon na loon
Aadam phir aadam hai 'saahb', kya karein
Is jahaan se pehle us jahaan ka fikar hota hai
Khuda ki nazar to theek magar
'Saahb' dair o haram kya hai
‘SAAHB’
Page 35
SHABNAM
Jaate ko rokna, paraye per haq jataana
Afsos hai 'saahb' mohabbat ka saleeka nahin
Maanga bhi to kya maanga 'saahb' ne shab e wasal
Ek aur lamha mohabbat, woh umar ke baad bhi tyaar they
Zindgi! ek bus
Yahaan se wahaan tak
Kitne chadhe, kitne utre
Kabhi seat milli, kabhi khade khade
Safar jaari hai
Zindgi! ek bus
Shajar ne saazishan jinhe jhaad diya tha
Woh patte sookhe jala diye gaye kal shaam
Kya hoga tere jaane ke baad, mujhe kya fikar
Azaab e zindgi hai 'saahb' jab tak zindgi hai
Woh shab o shaam ka waqt, chhat ke chhakkar
Yaadein reh gayee hein, guzre huye lamhon ki
Baarishon ke paani mein chheente uda raha hoon
Aaj is umar mein mohalle ka tamasha bana ja raha hoon
Meri mohabbat ko naya aayaam do 'saahb'
Main tumhaari hoon mujhe thaam lo
‘SAAHB’
Page 36
SHABNAM
Woh galiyaan yahaan se nikaale gaye sau baar
Lo ek baar phir khade hein, 'saahb' wahin
Agaaz to kar mohabbat ka, anjaam dekha jayega
Yun gumraah karta hai ishaq sabko pehle pehle
Chaand per rakhe hein shayad tumhaare saath bitaye pal
Tabhi to raat gehraati jaati hai, dil ghirta jaata hai
Humaari to nazar tak nahin lauti
Tum dil lautaane ki baat karte ho
Mohabbat ke maare kahaan jayein 'saahb'
Dair o haram nahin koee gali kucha nahin
Farebe ishaq ko, kahaan tak haunsla karoon
Woh thukra gaye hein mujhe, pather ki tarah
Ujadta hai to ujad jaye sakoon mera
Mujhe iqraar hai ab teri mohabbat se
Mera haal yeh ki haal kuchh nahin 'saahb'
Tumhaara pehla sawal yeh ki haal kya hai
Tyaarai kijiye 'saahb' ab tanhayee ki
Mehfilon ke din gaye, mohabbat ho gayee
‘SAAHB’
Page 37
SHABNAM
Haakim se nahin umeed koee, khudi ka haunsla chahiye
Awaaz janta ki uth rahi hai 'saahb' janta ko uthna chahiye
Musalsal aab hai aankh mein 'saahb'
Yeh kaisi mohabbat huyee hai mujhe
Dil kaaboo se baahar hai 'saahb'
Tere saamne kuchh ikhtiyaar nahin
Raah e adab per chalte chalte 'saahb'
Maashre mein kamzor samjhe ja rahe hein
Mere saamne do hi baatein hein ab
Ya tera inkaar hai ya meri zindgi
Mil jayein kahin shareef log agar
Kissi bhi tarah dost bana lena
Zever hein zindgi ka 'saahb' yeh
Haath nahin inse dil mila lena
Rahogi mere saath aur kab tak
Main tumhe thukra raha hoon
E yaadon! kuchh sharam karo
Utar jaata hai bukhaar e ishaq 'saahb', aksar
Nikaah ke baad pehli chapaati banaane khaane mein
Kya kahoon ki mohabbat ke geet kyon nahin gaata
Bus 'saahb' dushman ka naam hai zubaan pe nahin aata
‘SAAHB’
Page 38
SHABNAM
Zindgi! Taash ke patte 'saahb'
Kiske haath kya laga
Jab tak pata chala
Baazi khatam ho chuki
Pakad ke nabaz baithey hein vaid g, aahat sunte hein
Koee samjhaye ki rog e ishaq yun pakda nahin jaata
Kaise likh doon main woh naam e yaar is per
E munsif bata zyaada se zyaada faansi doge
Tasweer e yaar mujhe haasil kya ho gayee
Jo bacha khucha chain tha, woh bhi gaya
Sabar mujhe kissi baat ka nahin 'saahb'
Na teri tasweer se na tasavur se na waade se
Woh nazar bhi aa jayein to dil behal jaata hai
Intezaar mein be-aas nazar ki umeed laut aati hai
Nafrat to fitrat e aadam mein hoti hai
Baatein to hein sirf bahaane ke liye
Jo mohabbat se bhara ho dil to aap dikhtein hein
Mere doston ko mujhse roz milne ki zarurat nahin
‘SAAHB’
Page 39
SHABNAM
Nazar nazar ki baat hai dil ki nazar se dekhiye to
Jo nahin dikhta zamaane ko mere saaf saaf saamne hai
Utra jaata hai nazar se seedha seedha dil mein
Main dekhta hoon tasweer bhi parda kar ke unki
Fursat zindgi mein nahin fitrat mein hoti hai
'Saahb' busy hote hein kayee log araam se bhi
Falta hai sach ka vriksh aaj bhi kahin
Aao hum tum mil kar woh jagah dhundhe
Ujaale bhi honge, sehar bhi hogi, umeed bhi
Magar kab lekin kahaan kitnu kaise parantu kyon
Utar ke dekh kabhi mere sehan mein
E chaand tujhe bhi sach ka pata chale
Zamaane ne jab chheda mujhe tera naam le ke
Dil ko jaane kyon, ek ajeeb sa sakoon hasil hua
Faisla kar do zara mere liye 'saahb'
Aakhiri waqt hai khdua kahoon ya raaz khol doon
‘SAAHB’
Page 40
SHABNAM
Mujhe nahin kuchh chahiye aur 'saahb'
Shauk ka maara hoon bus deedaar unka
Fakeeron se kya puchhtey ho raaz se zindgi
Sab khuli kitaab hai, bus padhna seekh lo
Koee mujhse khareede main abhi bech doon teri yaadein
Muft ke bhaaw bhi de dunga, mera peechha koee chhudwa de
Woh bada magroor hai apne husn per 'saahb'
Shayad kissi ka budhapa usne nahin dekha
Mujhe koee neend ka khaab hi dikha de 'saahb'
Aankhein taras gayee ki kabhi ab aankh lage
Ab mujhse na kar umeed koee, mere dost
Main azma chuka hoon khud ko, zamaane ko
Jawani ki harkton per ab hansi aati hai kabhi kabhi
Woh chehre bhi yaad aate hein, jin per hum mar mite they
Khuda kar deta hai ishaq kissi ki nazar mein
Zamaane mein beshak ho deewaana hi kaha jaata hai
Hum to nashukar ho bhi jaate magar
Uski wafa ne mujhe bhi rula diya
Apna hi hai saara jahaan 'saahb'
Jabse apne ne gairon sa salook kiya
‘SAAHB’
Page 41
SHABNAM
Mujhe bhi deewaron mein chinwa do 'saahb'
Mujhe bhi ek saleem se ishaq ho gaya hai
Baadshaaon ne ishaq ko kufar samjha hai 'saahb'
Aur humesha panaah maangi hai mohabbat ke pehloon mein
Tere apna hunar mera apna fan
Tum bhulayo khub, hum yaad rakhein
Mere liye ab tera rona fizool hai
Tasweer faad de, 'saahb' dil samjha le
Kuchh nahin hona tha is dil se 'saahb'
Yahi waade yahi shikayatein yahi intezaar
Kuchh nahin hona aage bhi is dil se 'saahb'
Yahi waade yahi shikayatein yahi intezaar
Sawalon ke ghere mein dil mera aaj khada hai
Bina saoche hi teri surat pe yeh mar mita hai
Nahin maangtey shajar saaye ki keematein
E musaafir tera farz hai ek dua hi deta ja
Ishaq, ishaq hai, ishaq per zor e dawa na dua
Haadse hote rahenge jab tak yeh dashat rahega
‘SAAHB’
Page 42
SHABNAM
Phir se hoga yakeen rakh ishaq per
Yeh har kissi ko mauka phir se deta hai
Raaz ko raaz hi rakhna hai aagar
Sabse pehle raazdaan ko mita do
Ek meetha sa dard meri neendein bhar gaya
Tera masoom chehra mujhe deewana kar gaya
Teri aankhon main chhupe raaz na jaane kitne
Aisa lagta hai zulphon mein uljhe afsaane kitne
Tera aanchal chhoo ke shukraana kar gaya
Saada dam tum kitne koee bhi banawat nahin
Phulon ki hansi bhi teri muskurahat nahin
Jis shai ko chhoo liya paimaana kar gaya
Hawayon mein dard ki aahat sunayee de rahi hai
Shayad phir mohabbat ka mausam badal raha hai
Utra hai zeene se baadal dhup ka phir
Tere aamad jaisi hai sardi mein baarish dhup ki
Barbaad hone ki khaahishein, shayron ki zubaan per
Log yun hi deewana nahin kehte, in fakeeron ko
‘SAAHB’
Page 43
SHABNAM
Tere sawalon ka jawab mujhe haasil to hai
Tere zehan mein zehar ghul gaya hai, tu chala ja
Udne de khahishein per laga ke 'saahb'
Tere kya jaata hai aasmaan tadpega
Mere haath mein nahin kudrat ke khel
Tere milna bichhadna pehle se tai tha
Mila hai koee barson baad mujhe 'saahb'
Dil muskura kar duayein maang raha hai
Utra nahin paain abhi tak aankh se meri 'saahb'
Tum yeh samjha rahe ho itni bhi buri nahin hai
Kaun jaanta hai ki khaton ka aakhir kya hoga
Neelaam honge yeh ek roz, chanda ugraahi ke liye
Mujhe kis shiddat se pukaara usne
Khuda se behas raha hoon, jaane do
Humaari zabi ki kismat mein thi shikastgi
Tera dar na hota to koee aur chaukhat hoti
‘SAAHB’
Page 44
SHABNAM
Abhi tumhe nazar aati hai phulon per titli
Abhi tumne zindgi ke sab rang nahin dekhe
Utar rahi hai dheere dheere kal shab ki mai
Subah subah tum puchh rahe ho, wajah kya thi
Garz yeh ki khudgarzi hai mohabbat 'saahb'
Apni khushi ke liye dua hai, aur kya 'saahb'
Garz yeh ki khudgarzi hai mohabbat 'saahb'
Haq ke ilaawa farz bhi kayee hua karte hein
Tu mujhe mat samjha ki achha bura kya hai waeez
Khuda ke naam per tum jo kar rahe ho, woh socho
Utar ke dekh to sahi aasmaan se kabhi
Mohabbat ke maare kaise jee rahe hein
main qabar e aashik ka shajar 'saahb'
Mere saaye mein mohabbat panaah leti hai
Samjh parindon ki bhasha bhi kabhi kabhi
Woh bhi teri meri tarah baatein karte hein
Ujde huye dyaar ki bulbul hoon
Tum mujhe haal puchh rahe ho
‘SAAHB’
Page 45
SHABNAM
Mere shauk ki gawahi dega yeh zamaana kabhi
Abhi mehfil mein log puchhte hein, tum kaun ho
Naseehatein zamaane bhar ki aur faisla kuchh nahin
Bichhad gaye phir milne ka waada karke 'saahb'
Jaane waalon ko kya khyaal reh jaane waalon ka
Mujhse na puchh waeez, unke khyaal samjha
Main chain se so bhi sakta hoon, jo na aayein
Utar aayee hai meri hayat mein woh baichaini
Toofaan se baad jaise saahil ka nazaara hota hai
Ghar baar ujhad gaya mera, zehan o dil bhi gaye 'saahb'
Nazar o saans bachi hai barham si, dekhein kab jaati hai
Aata jo unhi ko nazar to baat kya thi
Woh wajah hein, aur wajah puchhtey hein
Mujrim nahin hoon main, lekin katghare mein hoon
Wakeel puchh rahe hein, marne se pehle tum kahaan they
Woh puchha kiye mujhse ki, aakhir talab kiski hai
Main hakla sa gaya, unke saamne unka naam leta hua
‘SAAHB’
Page 46
SHABNAM
Choor choor kar de mujhe, is kadar baras kabhi
Yeh kya hai khaab khaab mein tarasana, tadpana
Nahin umeed e iqraar jahaan, wahaan izhaar kya karna
Koee bekadar mil jaye haseen, to bhi pyaar kya karna
Yeh riwaaz e duniya hai jaane waale lauta nahin karte
Jiska koee waada bhi nahin, uska intezaar kya karna
Mere haal per taras aa gaya shayad use
Woh rumaal se chhupa ke chehra uth gaye
E musafir tere chehre per yeh shikan kaisi
Manzil ki hawas chhod, raaston se mohabbat kar
Uske waade bade pakke hua karte they
Per waqt ki tez barsaat mein sab beh gaya
Tujhe dekha to gunguna uthey lab
Aah nikalte nikalte nagma ho gayee
Tum bus yahi baat badi galat karte ho
Khaab mein aakar khaab ka waada karte ho
Waqt zaaya hota mere saath unka bhi to
Main bina jawab ka sawal lekar laut aaya
Kya kya sikha diya hai mohabbat ne mujhe
// Salaah le rahe hein mujh per kabhi hansne waale
Rai puchh rahe hein mujh per kabhi hansne waale
‘SAAHB’
Page 47
SHABNAM
Mujhe na jaane kyon phir hansi aa gayee
Tera khyaal mujhe aaj bhi rone nahin de raha
Sochte hi reh gaye mehfil mein woh log
Jinhe haasil se behtar ki talaash thi
Chhod diya jaata hai bekadar humsafar
Manzilon se aage gar nazar mein jahaan ho
Tera mera rishta ek naya mod le raha hai 'saahb'
Aaj mera dil nahin ki teri tasweer se baatein karoon
Kuchh to shokhi barkraar hai saadgi mein bhi
Sar se paanv parda hai, ek nazar ko chhod kar
Pati patni ka rishta
Jaise insaan aur farishta
Bus dekhne ki nazar hai apni apni
Zindgi sabke liye sab kuchh laati hai
Mujhe bardashat hai tere jaana bhi
Bus yeh keh ke na ja, ki tere nahin ab
Hum to maare gaye unki tyaari dekh kar hi 'saahb'
Woh qatal karte na karte, humne khudkashi kar li
‘SAAHB’
Page 48
SHABNAM
Gaur nahin kiya aapne shaayd
Bheed uske liye nahin thi 'saahb'
Yeh afwaah se kaafila ban gaya
Woh bhi janaaze mein shaamil honge
Ujda nahin hai dyaar abhi tak 'saahb'
Bulbulon se keh do abhi yakeen rakhein
Kis tarah kahoon ki dil ko yakeen rahe
Tum sanwar ke nikal pade ho, kya karoon
Rehnuma to rehnuma 'saahb' kahaan le jaye
Aaj raaste bhi kaabil e yakeen kahaan rahe
Qadamon se apne shikayat beja hai mere dost
Pehle dil mein manzil chahiye phir nazar mein
Naseeb se shikwa karne waalon se kya kahoon
Khud hi khuda paakar khone waale se kya kahoon
Wah wah na kijiye meri dastaan per
Yeh zakham khdua ke waaste na dijiye
Chaandni na jaane kitni chhaton per bikhri hogi
Na jaane kis kis ne ismein apna mehboob dekha hoga
Yeh falsafon ki baatein hein, mohabbat se juda 'saahb'
Tum apni aqal ko taak pe rakh do, tasavur se pehle
‘SAAHB’
Page 49
SHABNAM
Kothey te ill baithi
Tere khyaalaan wich mahiya/2
Main unglaan chhil baithi
Sabko ek ek tukda baantoo kaise
Hindustan koee cake nahin hai
Ujad gaye dilon ko tasali ka marhum kya
Hum tasavur mein yaar ke, tanhayee chahiye
Sharaab mujhe ab nahin chadhti 'saahb'
Teri aankhon ne mujhe sufi kar diya hai
Uataara hai khuda ne zameen per aapko yun
Kahin har shakhas kaafir na ho jaye 'saahb'
Rag rag mein meri shaamil hai woh 'saahb'
Mujhe jalana jab thoda tehzeeb pesh aana
Parda e haya karke woh nikla karte hein 'saahb'
Na jaane kaise badtameez dekhne waale ho jaate hein
Door kissi diye ki lau timtima rahi hai
Shayad kissi ka 'woh', abhi tak raah mein hai
‘SAAHB’
Page 50
SHABNAM
Meri mohabbat haadsa ban ke reh gayee hai 'saahb'
Tum samjha rahe ho bada shehar hai, koee baat nahin
Humein nahin pata ki ab tu kahaan aur kaise
Itna jaante hein ki hum yahaan aur nahin jaise
Mere ishaq per tumhaara khyaal kya hai shayro
Kya zinda logon per kalam ko maut aa jati hai
Lafz dar lafz ugle jaate hein, sabha mein
Inqlaab ke liye phir koee akela jaan maarta hai
Mohabbat ko mere dost yun badnaam na kar
Yeh khuda ko azeez hai, nek seerat cheez hai
Kis tarah tumhe samjhayein ab e dost
Parda un per nahin to khud per daalo
Kis tarah 'saahb' tumhe samjhayein ab e dost
Parda unhein manzoor nahin, to tum kiya karo
Mujhe mohabbat ne yun
aasmaan se farsh tak
Meri fitrat mein hai mohabbat bhari
Tum apni aadat se baaz nahin, hum apni
‘SAAHB’
Page 51
SHABNAM
Uski muskurahat ne mujhe baichain kar diya
Bus mein hota to kafan se uth ke puchhta, kyon
Mujhe kissi tarah to chain lene de e dil mere
Woh jaata hai jaane de, tujhe itni mohabbat kyon hai
Ek dil hi to nahin hai bus mein mere
Saare jahaan ka shikwa kya karoon tumse
Mujhe kya pata mujhe kya haasil 'saahb'
Yahin kahin kuchh pada hoga, tum dhundh lo
Kitaab e zindgi ke kuchh wark hein 'saahb'
Log khud ko jaise khuda o khudayee samjhe hein
Bus do boond mohabbat ki
Mera dil pyaasa hai, milegi?
Mujhe barkat de maula, ki mohabbat aur karoon
Unhein bhi barkat de maula, unka zulm badhe
Mera ho to sahi kabhi woh dil se
Jism ki baatein roohon ki samjh kahaan
‘SAAHB’
Page 52
SHABNAM
Mera ho to sahi kabhi woh dil se 'saahb'
Shikwa karoon umar kabhi to jism jal jaye
Kisse kya dikhayee diya, kya kahoon
Madam ki god mein kutta, ya .... bacha
Na jaane kyon khuda ko woh dikhayee nahin dete
Masjid se jyaada roze, kuchh gareeb log rakhte hein
Mera kya hai 'saahb' do pal do ghadi aur hoon
Tum kya karoge, kaho, tumhein abhi barson jeena hai
Nahin aata zyaada tarak vitarak mujhe 'saahb'
Bus yeh samjh lo ki mohabbat dil ka mamla hai
Mere saamne tum ho, tasweer ban ke
Main apni kya kahoon, bus tasweer hoon
Woh bereham hai per itna bhi nahin 'saahb'
Waar ke baad marte huye qatal nahin dekhta
Woh chupke se bole, darwaaze ki oat se
Yeh nahin woh kameez aap per achha lagega
Kyon aur kis liye tod doon main riwayat zamaane ki
Tum do din ke ishaq ho 'saahb', yeh zindgi ki baat hai
‘SAAHB’
Page 53
SHABNAM
Mera zikar hota hai mohabbat ke har afsaane mein
Ibtada karte hein 'saahb', log mere naam se
Mera hashar jo hoga 'saahb', duniya yaad rakhegi
Mera afsaana samjh lo, pather pather suli suli hoga
Charkh charkh chali hai dastaan meri
Tum abar keh rahe ho mehfil ke saathi hein
Barsega aasmaan bhi meri dastaan per 'saahb'
Tum puchhtey reh jayoge, kaun tha, kaun tha
Pehchana jayega 'saahb' ek roz apne zor per
Chaand jaise sitaaron ke beech, woh bhi poonam ka
Bus mein hai khudkashi beshaq mere
Lekin tujhe bhulana mere bus main nahin
Main kaise chhod do yeh lutf e intezaar
Khudkashi ke mauke aur bhi aaya karenge
Mera daaman nichod ke dekh, mohabbat barsegi
Kuchh tum bhi bheeg jaana, pyaar ki baarish mein
‘SAAHB’
Page 54
SHABNAM
Tareef e husn kya karoon aur main 'saahb'
Khuda ki shaan hai, khudayee ki jaan hai
Na hote yeh haseen chehre to zindgi kya hoti
Kya tum o main, ek duje ko yun dekha karte
Mujhe to ab nazar nahin aata kuchh aur
Tumhaari aankhon mein sirf main nahin hoon
Meri nazar se hata le tu nazar apni
Mohabbat ka masla hai aankhein na lada
Aankh aankh mein basa hai mohabbat ka katra
Kahin chamak ke moti hua, kahin beh ke paani
Baarishein in aankhon se kya kahiye
Bus tere baad teri yaadon ne tadpaya mujhe
Aankhon ki baat chali to aankhein chura gaye
Aankhein aankhon se jhuth bolte ladkhada gayee
Kya jawab doon ab in aankhon ko bata
Nazar puchh rahi hai kaho, kahaan dekhoon
Aakhon ko mohabbat ki seedhi bana liya usne
Mere dil per pehla waar hua hai, yahin se
‘SAAHB’
Page 55
SHABNAM
Rakhte rakhte aankhein mujh per, kya hua unhein
Shayad mere libaas per 'saahb' unki nazar chali gayee
Aankhein tumhaare liye ab nahin tarsa karti
Maine samjha diya hai inhein,
Marne ke baad nahin khula karti
Humne jaise hi rakhi un per aankhein, woh chal diye
Shayad meri nazar mein unko mera haal e dil nazar aa gaya
Aadtan woh aankhein dikhaane lage phir mujhko
Mera kasoor humesha ki tarah mohabbat 'saahb'
Aakhon ko shayron ne kya kya bana diya 'saahb'
Udaas o khush mohabbat o nafrat ka baees aankhein
Puchh lo in aankhon se inki bhi raza 'saahb'
Tum yun hi farmaye ja rahe ho, yeh chahti hein
Aankhein kya kehti hein tumhe, batayo to sahi
Aaeene mein inhein kabhi, tum bhi dekha karo
Sailaab e ashaq behne do 'saahb' baandh na banayo
Jab guzrega sar se paani, gaanv ke gaanv ujaad dega
‘SAAHB’
Page 56
SHABNAM
Utra hai aankhon mein jazba e mohabbat unki
Kal meri taraf bade gusse se dekha hai usne
Aankhon ne yeh kaise manzar dikha diye mujhe
Mohabbat ke naam se ab ji ghabra sa jaata hai
Apni aankhon se keh do ki saleeka seekhein
Apna banayo pehle jo is tarah dekhna hai mujhe
Meri aankhein aapke darwaaze per lagi hein musalsal
Gaali dene hi sahi, kabhi to nikloge aap yahaan se
Mujhe meri aankhon ki kasam, jhuth nahin kehta
Mohabbat hai mohabbat hai, tumse mujhe mohabbat hai
Raaz kaise rakhoon teri mohabbat 'saahb'
Yeh aankhein meri, ab mere bus mein nahin
Dhundha kiya tujhe din raat tu mila nahin
Aankhin apni kya kahoon, kissi kaam ki nahin
Uski aankhon se behtar aur kya masla hoga
Aao mehfil waalon, thodi thodi charcha karein
‘SAAHB’
Page 57
SHABNAM
Aankhein rakh di husn waalo per naujawaano ne
Desh loot kar kha gaye, kuchh kursiyaan waale
Aankhin kissi ke kaam nahin aayee unki 'saahb'
Woh aaeeno se puchhte rahe, kaisi lag rahi hoon
Kajal aankhon ko ab lagaya jaise to kaise
Teri nazar bardashat inhein, ya sirf aansoo
Humne khud ko tamaasha bhi bana daala hai 'saahb'
Unki aankhein haya ka parda odh kar phir jhuki jhuki
Aankhon ko ilzaam na do mohabbat ka 'saahb'
Yeh to sach dikha rahi thi, dil ne suna nahin
Dil per zor chala na zehan ka 'saahb'
Aankhon ne wargla diya ek masoom farishta
Desh ki sarhad per lagi hein jinki aankhein
Kyon unka parivaar 'saahb' kaum ki aankhon mein nahin
Aankhein dikhaati hein sirf sach
Dil jhuth ke siwa kuchh chahta nahin
‘SAAHB’
Page 58
SHABNAM
Aankhon ko mohabbat se door rakhna 'saahb'
Yeh masoom kahin dil ki baaton mein aa na jayein
Aankhein kissi bache ki dekhna kabhi 'saahb'
Haqeeqat zindgi ki yahi hai, mohabbat kijiye
Main dekhta hi reh gaya
Un aankhon ki chamak
Mere haath mein thi kulfi
Woh dekh raha tha
Nazar se sawad le raha tha
Main us bache ka gunahgaar
Use juthi kulfi de na saka
Uske liye ek aur kulfi le na saka
Khaayee to saari maine hi
Per uski aankhein
Main kulfi ka maza le na saka
Hijar se bhari ek shaam, bojhal aankhein
Tumhaare aane ki raah takti, taras rahi hoon
Aankhon ko zara araam bhi diya kijiye
Duniya aaj hi to nahin saari dekh leni
Rahega daur jawaan aage bhi mohabbat ka 'saahb'
Meri aapki aankhon per yeh dastaan khatam nahin hogi
Mausam e khizaan mein bhi aayee hai khushbu bahaar ki
Dil dhadak utha hai phir se, yeh aahat hai 'saahb' aapki
‘SAAHB’
Page 59
SHABNAM
Na kahoon ki khairiyat hai to kya kahoon
Zakham zakham jism hai, aap haal puchhtey ho
Woh apni zubaan se kab kehta hai 'saahb' kuchh
Bus nazarein jhuka leta hai dil chura leta hai
Mere ehbaad ko fursat mili hai aaj kuchh
Haal puchh rahe hein, phir sawal puchh rahe hein
Mere hone na hone se kya farak is duniya ko
Wohi subah shaam wohi din raat wohi chala chali
Mohabbat ki baarish mein bheege ek roz hum
Ab geeli lakdi sa sulag rahe hein thoda thoda
Haath se na chhoo mujhe, zubaan se puchh 'saahb'
Zakham dabte hein to chees hai, yun khariyat hai
Baichaini e jeesat mujhe rawaan rakhti hai
Main thehar jaun kahin to dum ghut ta hai
Mohabbat bhari ek nazar paakar 'saahb'
Aakhiri dum saare shikwe mit gaye unse
‘SAAHB’
Page 60
SHABNAM
Dil mera samjha hai kuchh kuchh, kuchh kuchh nahin nahin
Tum puchh rahe ho sawal aise aise, haal kya hai nahin nahin
Hum unke liye dua karte hein 'saahb'
Jinhein humein bad-dua bhi raas nahin
Dard ka ehsaas kya hota hai, ab nahin yaad mujhe 'saahb'
Haan pather kaise khurta hai dheere dheer bata sakta hoon
Pal pal mein shaamil hai hazaar khushiyaan, dekho to
Rishtey!
Majboot hote hein
Sikkon ki khanak
Kaagzon ke tukdon se
Yeh kalyug hai 'Saahb'
Yahaan pyaar ki paribhasha mein
Paisa shaamil hai
Pukaara mere ehbaab ne yun, chonke jaise khaab se
Aa hi sakte to jaate hi kyon, kya kahein ab aap se
Nain aayaar bade hein, har tarqeeb per pade yeh bhaaru
Nain bane hein chaaku chhuriyaan, nain dawa o daaru
Pukaara kiya hai humne unko har tarah se 'saahb'
Yeh hawayein ghatayein baadal barkha meri sadayein hein
Kuchh saal baad tasweerein bhi utar jaati hein
Weham hai kissi ke bina koee mar jaata hai
‘SAAHB’
Page 61
SHABNAM
Na dekho is roshani mein saaye 'saahb'
Dil jal raha hai teergi badh rahi hai
Dil doob gaya na jaane kyon 'saahb' yun hi mera
Dekh kar phir kissi ka haath kissi ke hath mein
Har aansoo aag mein ghee samaan 'saahb'
Aag dil ki aur badhti hai hijar ki shab
Mere saath chalti hein yaadein ab saaya banke
Main chahoon bhi to tanha nahin reh sakta 'saahb'
Tere milne ke baad meri aankhon ko kuchh ho sa gaya hai
Aaeene bhi dekh loon to, tujhse sarma jaati hai meri nazar
Shehar mein kaun baaki hai dushmani ko ab
Sabhi ne doston ki shakal ikhtiyaar kar li
Raha hai humesha se yahi gunaah e ishaq 'saahb'
Manjoor nahin hua hai duniya ko, deewana ho jaana
Sach bola jab aaeene ne, safed baal dikha kar
Woh jhunjhla ke kehne lage, aaeena kharaab hai
Yeh zaruri nahin sohbat mein mohabbat ho 'saahb'
Dooriyaan bhi baaees e deewangi hua karti hein
‘SAAHB’
Page 62
SHABNAM
Mere hosh o hawas mein hota 'saahb' to bata sakta tha
Mujhe nahin maaloom mohabbat ka pehla lamha kaisa tha
Chaand ki tammna mein dil ko jalaana theek nahin
Haath mein kissi ka haath ho to phir tammana nahin
Meri saanson mein mehak si hai 'saahb'
Tera naam lene ke baad zubaan mehki hai
Tera mera asool hai ek sa 'saahb', zid pe kayam dono
Na tum yaad karo mujhko na main bhul sakoon tumhe
Milta hai itihaas mein khudkashi ka zikar bhi
Har kissi se bawafa hokar jiya nahin jaata
Kashish hoti hai chand lamhon ki magar
Mohabbat umar bhar ki qaid hoti hai 'saahb'
Yeh le kaasid tujhe paigaam de rahi hoon
Use dena jiska tujhe, mere jaisa haal mile
Hijar kushat jism per marhum bhi namak sa kaam karti hai
Achha hoga 'saahb' mujhe mera haal na poochha karo
Bachpan mein kuchh gunaah nahin samjha jaata
Tere liye mohabbat mujh mein, aur daur se hai
‘SAAHB’
Page 63
SHABNAM
Nazar beshak dhundhla gayee hai peeri mein
Tasavur mein aaj bhi 'saahb' wohi shauk hai
Meri hi tabyat ke hein dost mein 'saahb'
Na main baaz aata hoon wafa se na woh dage se
Utra jaata hai nazar mein tera tasavur phir
Duniya dhundhla rahi hai, bekhudi chhaa rahi hai
Mere hosh chheen le 'saahb' mere hawas chheen le
Mujhe ruswa karne se pehle mere halaat chheen le
Mujhe teri tasweer ne yun bekhud kiya 'saahb'
Khud aa jaate kahin, shayad khudkashi kar leta
Mere hawas gaye tere saath 'saahb'
Nahin gaya shauk e deedar, shekh ki tabyat se
Azaan abhi tak apne hi dil tak nahin pahunchi
Khuda ko paana chahtein hein 'saahb'
Kya khuda ki kaynaat ko chhod dein
Namaz se namaz tak jayaz hai
Mere dil ki zameen per ghar bana lijiye 'saahb'
Is jahaan mein e mohabbat tujhe kahaan chhat milegi
‘SAAHB’
Page 64
SHABNAM
Sehra se samander tak ka safar 'saahb'
Jaise ek ashak dil se aankh tak chala
Kitaab se padh kar aa gaye woh mohabbat
Puchh rahe hein jaan pe khel jaoge kya
Haqeeqat e zindgi kuchh aur hi nikli
Main mohabbat ke gumaan mein reh gaya
Kabhi dil se dil lagaya hota kabhi to samjh aati
Surat dekhte rahe 'saahb' seerat kya samjh aati
Khuda ko dil mein basaya hai yun humne
Log hairaan hote hein, muskurata dekhkar
Unki yeh shart hai pehli 'saahb' mohabbat mein
Jab chhod kar jayein woh, to royenge nahin hum
Main der tak yun aakhiri dum na le paya ‘saahb’
Khabar aati rahi ki ab ki ab who aaye who aaye
Mujhe yun na le ke gaye mere yaar der tak kaandhe per
Teri kangan ki khan khan thi, log meri dhadkan samjhte rahe
Tere kangan ki khan khan mujhe dhadkan si azij hai
Mere katal ka kabhi iraada bane to kangan utaar dena
‘SAAHB’
Page 65
SHABNAM
Mujhe yun na sataya karo mohabbat ki aad lekar
Tumhe meri jaan chahiye na, dil to sirf bahana hai
Meri jeesat per bhaari hai teri khamoshi kalayee 'saahb'
Meri saanso ko chun kar koee, teri kalayee ka kangan kar de
Utaar do yeh kangan tum aaj aur abhi ke abhi 'saahb'
Mujhse zyaada koee tere aur kareeb mujhe bardashat nahin
Mudda asal mohabbat tha aur behas mazhub tak chali gayee
Ab raam kare ya raheem kare, mohabbat to mohabbat hoti hai
Ishaq de waar to bach ke rehna chahida
Sabar naal har dukh santaap sehna chahida
Mehboob de daaman te koee daag na lag jawe
Koee haal puchhe taan sab theek kehna chahida
Bhul ke vi shikayat na aa jawe buliyaan te
'Saahb' mohabbat hai taan bus chup rehna chahida
Kuchh to reh gaya haathon mein shukar kijiye
Sookhe phul hi sahi, mohabbat ki nishaani hein
Mere saamne aks apna ask badal gaye
Aaeene mein tum, meri jagah aa gaye ho
Duayon mein tujhe kya maang liya humne khuda se
Kasar nahin chhodi bijliyon ne barbaad karne mein
‘SAAHB’
Page 66
SHABNAM
Tijarat nahin hai 'saahb' mohabbat hai yeh
Haasil o nafa nuksaan ismein nahin hota
Wafa aaj bhi wohi hai, mohabbat ka darja bhi
Afwahein hein ki woh log chale gaye 'saahb'
Zehar ko zehar kehte hein to mohabbat ko mohabbat kyon nahin
Tumko waajib gar shikayat hai to haasil per shukriya kyon nahin
Aadtan ab qadam chal pade hein us aur 'saahb'
Dil jaanta hai siway ruswaayee ab kuchh nahin
Woh tanz se kehte hein, marne pe bulana
Sirf beemar hon to khabar bhi zaruri nahin
Subah chale shaam ko laut aana hai
Yeh safar hai 'saahb' ghar se ghar tak
Raaste o manzil to khudi sehal ban jaate hein 'saahb'
Dariya ufaan pe ho to chhote bade pather nahin dekhta
Mere dil per jo guzrein hein haadse kya kahoon
Tum apni kaho vaid g, haal e mohabbat sun bhi sakoge
‘SAAHB’
Page 67
SHABNAM
Mere haal pe na ja mere dil ka haasil dekh
Na koee tadap hai na bezaari fakeer e ishaq ko
Beghar hokar yeh hasrtein jayengi kahaan
Shola hi sahi, mujhse yun nikaali na gayee
Pahaad si baat thi mujhko mohabbat teri
Tumne ek lafz inkaar mein ret kar daali
Tere saamne baithey hein phir shikayat ko
Kabhi to tasavur se baahar bhi nikla karo
Apne hi haatho se ji karta hai sula doon isko
Apne hi dil ka khoon, kya gunaah e azeem hoga
Haadse yun bhi ho jaya karte hein mohabbat mein
Mile tum juda huye, dastaan bani, charcha hua
Nahin farak padega 'saahb' kuchh chamak o chaundh mein
Chaahe to aasmaan ki bijiyaan tasweer se hata ke dekh lo
Jawani ke din hein aur mohabbat ki raatein
Yahi to hai jise jannat ki zindgi kehte hein
‘SAAHB’
Page 68
SHABNAM
Mohabbat to mohabbat hai 'saahb'
Tujhe manzoor ho na ho, hum tumhaare hein
Mujhe manjoor nahin pather sa beh jaun nadi mein
Main baandh sa banuga, jo roshan koee ghar kar sake
Utar rahi hai dhup dheere dheere zeene se
Yaad aa raha hai chilman ki oat se jhankna tera
Nahin kat raha thi shaam tanha 'saahb'
Socha mohabbat hi kar ke dekh li jaye
Baaz aa e dil mere, mohabbat se
Tu ro lega behal jayega, main kya karunga
Chham chham chham, bina payal ke yeh khanak kaise
Oh tum muskuraye ho, aaeene mein apna hi aks dekhkar
Woh aaj bhi aadtan ruth jaate hein 'saahb'
Ab humare manane mein woh shiddat nahin rahi
Waqt ke saath mohabbat ka asar dhalta gaya
Ab na roothne waala roothta hai na manane wala
‘SAAHB’
Page 69
SHABNAM
Nahin chalta karobaar vaid ka unki gali mein 'saahb'
Jo koee beemaar bhi ho, woh nazar se achha kar dete hein
Unse milkar badal jaati hai niyat phir meri
Yun tauba karta hoob roz mohabbat se main
Puchh rahe hein vaid g, tujhe fees maaf saari
Bus itna bata de is tarah se biwi ne peeta kaise
Reh gaya moohn mein kasaila sa sawad ek
Kothey te kach mahiya
Kothey te kach mahiya
Tere kolon aina mangde
Saade naal aa ke nach mahiya
Addi maar ke dhudaan pat deniyaan
Addi maar ke dhudaan pat deniyaan
Gidhe wich jattiyaan ne/2
Ohna jaan di gal kitti
Ohna jaan di gal kitti
Saade dil nu haul piya...
Kothey te rodiyaan ne....
Kothey te rodiyaan ne....
Aaja saada ho ja ve
Eh rahhan rab ne jodiyaan ne
Kadmaan nu duck sajnaa ..
Kadmaan nu duck sajnaa ..
Mohabbataan waala ..
Parda kujh taan rakh sajnaa
Nahin mohabbat hi sirf shayri ka baees
Kaafir dil bhi kuchh gungunaya karte hein
‘SAAHB’
Page 70
SHABNAM
Hargiz khudgarzi ka kaam hai yeh keh dena
Teri keemat per bhi hum juda nahin hona chahtey
Thokar kha gaya dil magar, dil ka kasoor kya hai
Mohabbat sabse pehle aankhein hi to band karti hai
Badal jaate hein jazbaat nikaah ke chaar din baad hi 'saahb'
Woh der se ghar aane lagta hai, woh kitty mein jaane lagti hai
‘SAAHB’
Page 71

Documenti analoghi

TERE PAAS HUM Tere paas hum, aate hai sadaa

TERE PAAS HUM Tere paas hum, aate hai sadaa Chal raha hu main, teri raho par Tere pyaar pe ho gaya fidaa Duniya se toh main ho gaya judaa, Mere khudaa-2 Yeshua Sochtaa main tha jaaoo mein kahaa Aa mere paas aa tunein ye kahaa. Mujhse tunein ...

Dettagli